Healthy rahne ke liye in Age badhane wale Foods se bachein
Agar aap chahte ho lambe samay Tak Jawan dikhna
to in food se bachana chahiye aur lambe samay Tak Jawan aur young dikhne ke liye kon kon se food khane chahiye iske bare mein aapko bataya jaega Aaj ke time per jaldi old dikhne lagte Hain umra Se pahle agar aap chahte ho lambe time tak young dekhna aur Jawan rahana to niche step bye step food ke bare mein jankari Di gai hai.
( No 1 ) Sugar wale food Se bachana chahiye( mithe food )
Jo jyada meethe hote Hain aur aapki health ko old dikhane lagte Hain
Example: - chocolate, π« cold drink ( Pepsi )
Inka use karne Se bachana chahiye kyunki yah aapki age ko old dikhane lagte Hain
( No 2 ) Simit Matra mein kis fruits ko kha lena chahiye
Agar aap simit Matra mein mithe fruits khana chahte ho to aapke liye kuchh food aise bataiye Jo simit Matra mein khane se nuksan kam hota Hai
Prakrutik sugar fruits khane wale
Mango π₯(aam) papita orange π (Santra) simit Matra mein kha lena chahiye
( No 3 ) Kaisa food khane Se bachana chahiye
Tale hue fast food nahin khana chahiye
Example - burger, samosa, patties, momos, etc.
Bahar ke tale hue food bilkul nahin khana chahie yah aapke sharir ko adhik Matra mein nuksan pahunchate hain aur aapke sharir ko old dikhana lagte Hain.
( No 4 ) Kis tarike ka food kha lena chahiye simit Matra mein
Agar aapko jyada pasand hai to simit Matra mein kis tarike se Sevan kar sakte ho
Only ghar ka banaa hua food simit Matra mein use kar sakte ho kabhi Kabhi jitna ho sake utna bachana chahiye use karne se
( No 5 ) Kis tarike se nuksan karta hai
Example samosa momos burger π patties
Iske andar maida ki Matra hoti hai jiski bahut Moti parat Hoti Hai iske andar
Aapke sharir ko maida ko pahchane mein adhik samay lagta hai pachaya prakriya ke liye bhi nuksandayak hota Hai
( No 6 ) Jyada Matra mein Sharab (alcohol ) peene Se bachana chahiye
Alcohol aapke sharir ko adhik Matra mein nuksan pahunchati hai kyunki isase hamara sharir dihydrate ho jata hai
Jiske Karan hamare sharir ki tvacha kamjor dikhne lagti hai aur old dekhne lagti Hai.
( No 7 ) Kitni age per sharab alcohol nahin Pina chahiye
agar aapki age 18 plus se kam hai to isko bilkul nahin Pina chahiye kam age per jyada nuksan karti hai
Iski jagah aapko kya istemal karna chahiye
Nariyal Pani
Green tea
Herbal drink
Agar aap Inka istemal karte ho to aapke sharir ko energy denge aur aapka sharir fit rahega young dikhne mein help Karega.
( No 8 ) Vishesh Roop se Kis chij Se banaa hua food se bachne chahiye
Vishesh Roop se aapko maida khane se bachana chahiye
Kyunki yah glycation prakriya Ko badhata Hai
Iska istemal karne se aapke sharir ki tvacha sukhadne lagti Hai
( No 9 ) Kis chij ka istemal Karna chahie khane ke liye
Aata ka istemal kar lena chahiye
Namak salt π§ adhik Matra mein khane Se bachana chahiye
Namak hamare sharir ko Sujan deta hai jisse jaldi old dikhne lagte Hain
Simit Matra mein Namak khana chahiye hamesha adhik Matra mein namak khane se bachen
Kya khana chahie kya Pina chahiye
Kela banana π nariyal Pani
Inka istemal jyada karna chahiye khane ke liye unko khane se aapka sharir healthy rahata hai aur energy milati hai inke andar protein paya jata hai
( No 10 ) Kam umar dikhane wale food jisse aapki umra kam dekhe
Agar aap apne aap ko healthy aur energy fit rakhna chahte ho isko kam dikhana chahte ho
To aapko yah food daily khane chahie apni khane mein daily istemal Karen
Example: per day 8 gilas Pani . Agar aap daily 8 gilas Pani pite ho to aapke sharir mein Pani Ki purti rahegi
Palak ki sabji ya Palak Tak Kisi bhi tarike se istemal karo yah aapke blood ki Matra badhata hai aur blood ko saaf kata hai
ISI tarike se aur bhi Kai tarike ke food hain jaise : badam , akhrot, anar ,anjeer ,papita ,Santra , tamatar etc.
Agar aap ine sab ka istemal karte ho to aapko young dikhne mein help milegi aur aapko yah energy aur sharir ko fit rakhenge
Written by Manoj Choudhary ( for educational information purposes only )

Comments
Post a Comment